kahīñ se aayā tumhārā ḳhayāl vaise hī
ġhazal kā honā huā hai kamāl vaise hī
hamāre husn-e-nazar kā kamāl kuchh bhī nahīñ
to kyā tumhārā hai saarā jamāl vaise hī
tirā visāl ki jis taur mere bas meñ nahīñ
huā hai hijr meñ jiinā muhāl vaise hī
tirā javāb mire kaam kā nahīñ hai ab
ki maiñ to bhuul chukā huuñ savāl vaise hī
kahā ye kis ne ki uktā gayā junūñ se maiñ
paḌā huuñ dasht meñ ab to niDhāl vaise hī
uchhāltā hai jazīroñ ko jis tarah ai bahr
mirī bhī laash ko tah se uchhāl vaise hī
nikāltā hai tū jis taur raat se sūraj
hamārī shab se hameñ bhī nikāl vaise hī