Zubair Qaisar

usi ka dard hai jis ke jigar ka lasha hai

Zubair Qaisar

1975
usī kā dard hai jis ke jigar kā lāsha hai
maiñ jāntā huuñ ki baaqī to sab tamāsha hai
maiñ kyā batā.ūñ jo TuuTā hai mujh pe zulm-o-sitam
maiñ kyā likhūñ ki mirā dard be-tahāsha hai
bunī haiñ sāzisheñ mausam ne dhuup se mil kar
havā ne mere har ik phuul ko ḳharāshā hai
amīr-e-shahr maiñ tujh ko tirī duhā.ī duuñ
ki merā tolā bhī terī nazar meñ māsha hai
ujāḌte hue vo kāñptā to hogā 'zubair'
vo ḳhvāb haath nahīñ ḳhuun se tarāshā hai
Top Urdushayar.com