Zubair Qaisar

wahi thi kal bhi pasand aur wahi hai aaj pasand

Zubair Qaisar

1975
vahī thī kal bhī pasand aur vahī hai aaj pasand
alag mizāj hai merā alag mizāj pasand
maiñ kyā karūñ ki mirī soch muḳhtalif hai bahut
maiñ kyā karūñ mujhe aayā nahīñ samāj pasand
maiñ apnī raah nikālūñgā apnī marzī se
mujhe nahīñ haiñ zamāne tire rivāj pasand
ye merā dil mirī āñkheñ ye mere ḳhvāb azaab
uThā ai ishq tujhe jo bhī hai ḳhirāj pasand
mahāz-e-ishq pe ḳhud hī shikast maanī hai
'zubair' dil pe huā hai kisī kā raaj pasand
Top Urdushayar.com