Zubair Qaisar

alag main sab se kahani bhi hai alag sab se

Zubair Qaisar

1975
alag maiñ sab se kahānī bhī hai alag sab se
so mujh ko ḳhaak uḌānī bhī hai alag sab se
badan se ruuh nikal kar samā ga.ī tujh meñ
mirī ye naql-e-makānī bhī hai alag sab se
samundaroñ meñ nahīñ dasht kī taraf utrā
ye merī āñkhoñ kā paanī bhī hai alag sab se
milā hai dard-e-mohabbat bhī ik zamāne ke ba.ad
mujhe ḳhushī ye manānī bhī hai alag sab se
zarā sā ḳhvāb ko toḌā ḳharāsh Daal gayā
ki aañkh meñ vo nishānī bhī hai alag sab se
Top Urdushayar.com