Shibli Nomani

yar ko raghbat-e-aghyar na hone pae

Shibli Nomani

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1857-1914
yaar ko raġhbat-e-aġhyār na hone paa.e
gul-e-tar ko havas-e-ḳhār na hone paa.e
us meñ dar-parda samajhte haiñ vo apnā hī gila
shikva-e-charḳh bhī zinhār na hone paa.e
fitna-e-hashr jo aanā to dabe paañv zarā
baḳht-e-ḳhufta mirā bedār na hone paa.e
haa.e dil khol ke kuchh kah na sake soz-e-darūñ
aable ham-suḳhan-e-ḳhār na hone paa.e
baaġh kī sair ko jaate to ho par yaad rahe
sabza begāna hai do-chār na hone paa.e
jam.a kar lījiye ġhamzoñ ko magar ḳhūbī-e-bazm
bas vahīñ tak hai ki bāzār na hone paa.e
aap jaate to haiñ is bazm meñ lekin 'shiblī'
hāl-e-dil dekhiye iz.hār na hone paa.e
Top Urdushayar.com