Ghausiya Khan Sabeen

aandhi mein bhi charagh magan hai saba ke sath

Ghausiya Khan Sabeen

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1980
āñdhī meñ bhī charāġh magan hai sabā ke saath
lagtā he sāz-bāz huī hai havā ke saath
lab par ḳhudā kā naam ho dil meñ vatan kā dard
nikle badan se ruuh mirī is adā ke saath
un ko bahut ġhurūr thā apnī jafāoñ par
ham bhī vahīñ aḌe rahe apnī vafā ke saath
nazreñ jhukā ke sāmne mere khaḌā hai vo
sharmindagī kī apne badan par qabā ke saath
har shaḳhs rashk kartā hai phir aisī zaat par
mar kar bhī jis ke rabt ho qaa.em ḳhudā ke saath
āġhāz bhī usī kī ziyārat ke saath ho
ho bhī safar tamām to maañ kī duā ke saath
ehsān thā yā hukm kī ta.amīl thī 'sabīn'
ham bī qadam qadam chale us kī razā ke saath
Top Urdushayar.com