abhī dekhī kahāñ haiñ aap ne sab ḳhūbiyāñ merī
nigāheñ DhūñDhtī haiñ aap kī bas ḳhāmiyāñ merī
mirā kirdār duniyāñ meñ shahādat se munavvar hai
nazar aa.eñ falak par sab ko raushan surḳhiyāñ merī
vahāñ barsoñ talak phūloñ kī khetī hotī rahtī hai
baras jaatī haiñ jin ḳhittoñ pe jā kar badliyāñ merī
maiñ har nekī ko apne dushmanoñ meñ baañT detī huuñ
samar-āvar rahā kartī haiñ is se nekiyāñ merī
zamāna chāhe jo samjhe anā ke saath zinda huuñ
tumheñ bhī jiit legī ek din ye ḳhūbiyāñ merī
kisī bhī ma.arke par ab talak haarī nahīñ huuñ maiñ
mirā zevar rahā hai dostoñ ḳhuddāriyāñ merī
jise tum raakh samjhe ho abhī tak aag hai us meñ
kuredo mat jalā degī tumheñ chiñgāriyāñ merī
'sabīn' aksar maiñ dastarḳhavāñ se uTh jaatī huuñ bin khaa.e
kisī bhūke ke kaam aa jaa.eñ shāyad roTiyāñ merī