muḳhtasar sī baat ko bhī mas.ala kahte rahe
zindagī meñ aap ko kyuuñ rahnumā kahte rahe
be-vafā hone kā fatvā de diyā un ne hameñ
umr-bhar jin ke sitam ko ham vafā kahte rahe
kar diyā mismār un ne ek pal meñ qasr-e-dil
jin ke ḳhasta ghar ko bhī ham ḳhush-numā kahte rahe
har ghaḌī har vaqt har pal har jagah be-ḳhauf ham
vo hamāre the hamāre haiñ sadā kahte rahe
dhīre dhīre chal diye us raah par ham bhī 'sabīn'
rāt-din sab jis ko ġham kī karbalā kahte rahe