Ghausiya Khan Sabeen

chal diya naz zamane ke uThane wala

Ghausiya Khan Sabeen

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1980
chal diyā naaz zamāne ke uThāne vaalā
saare ghar le gayā ghar chhoḌ ke jaane vaalā
aañkh pur-nam hai yahī soch ke ahl-e-dil kī
lauT kar ab nahīñ aa.egā hañsāne vaalā
baat to karte haiñ sab log vafā kī lekin
kis ne dekhā hai kahāñ par hai nibhāne vaalā
ab pareshān sā phirtā hai zamāne bhar meñ
zaḳhm-e-dil par mire tezāb lagāne vaalā
shukr-e-rab hai mirī phūloñ pe guzārī us ne
aag pe soyā hai bārūd bichhāne vaalā
ham ne dekhā hai shab-o-roz zamāne meñ 'sabīn'
surḳh-rū hotā hai sajdoñ ko sajāne vaalā
Top Urdushayar.com