Shibli Nomani

puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai tha

Shibli Nomani

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1857-1914
pūchhte kyā ho jo hāl-e-shab-e-tanhā.ī thā
ruḳhsat-e-sabr thī yā tark-e-shakebā.ī thā
shab-e-furqat meñ dil-e-ġham-zada bhī paas na thā
vo bhī kyā raat thī kyā ālam-e-tanhā.ī thā
maiñ thā yā dīda-e-ḳhūñ-nāba-fishānī shab-e-hijr
un ko vaañ mashġhala-e-anjuman-ārā.ī thā
pāra-hā-e-dil-e-ḳhūnīñ kī talab thī paiham
shab jo ā.ankhoñ meñ mirī zauq-e-ḳhud-ārā.ī thā
rahm to ek taraf pāya-shanāsī dekho
qais ko kahte haiñ majnūn thā sahrā.ī thā
āñhkeñ qātil sahī par zinda jo karnā hotā
lab pe ai jaan tū e.ajāz masīhā.ī thā
ḳhuun ro ro diye bas do hī qadam meñ chhāle
yaañ vahī hausla-e-bādiya-paimā.ī thā
dushman-e-jāñ the udhar hijr meñ dard-o-ġham-o-rañj
aur idhar ek akelā tirā shaidā.ī thā
uñgliyāñ uThtī thiiñ mizhgāñ kī usī ruḳh paiham
jis taraf bazm meñ vo kāfir-e-tarsā.ī thā
kaun is raah se guzrā hai ki har naqsh-e-qadam
chashm-e-āshiq kī tarah us kā tamāshā.ī thā
ḳhuub vaqt aa.e nakīrain jazā degā ḳhudā
lahd-e-tīra meñ bhī kyā ālam-e-tanhā.ī thā
ham ne bhī hazrat-'shiblī' kī ziyārat kī thī
yuuñ to zāhir meñ muqaddas thā pa shaidā.ī thā
Top Urdushayar.com