mahak kirdār kī aatī rahī hai
sadāqat phuul barsātī rahī hai
sitāroñ ne kahī terī kahānī
suhānī shab tujhe gaatī rahī
nazar kis zāviye pe jā ke Thahre
qayāmat har adā Dhātī rahī hai
jahāñ apnā lahū botā rahā huuñ
vo bastī mujh se katrātī rahī hai
sulagtī chīḳhtī pyāsī zamīñ par
ghaTā ghanghor bhī chhātī rahī hai
jo mere sāmne har dam rahā hai
usī kī yaad bhī aatī rahī hai
'hayāt' us samt se aatī havā bhī
payām-e-zindagī laatī rahī hai