maiñ ḳhāl-o-ḳhad kā sarāpā tasavvurāt meñ thā
damaktī zaat kā sūraj añdherī raat meñ thā
vo vaqt ab bhī nigāhoñ meñ jagmagātā hai
ye kā.enāt thī mujh meñ maiñ kā.enāt meñ thā
maiñ shahr shahr kī hairāniyoñ se guzrā huuñ
mirā vajūd bhī shāyad ajā.ibāt meñ thā
anā ke dasht meñ sadiyoñ kī dhuul oḌhe hue
na jaane kab se vo uljhā ta.assubāt meñ thā
tamām shor-sharāba nafas nafas meñ liye
vo Dūbtā huā ehsās shab-barāt meñ thā
ye sub.h-o-shām mulāqāt hai ajīran sī
kabhī-kabhār kā milnā tabarrukāt meñ thā
'hayāt' DhūñD rahā huuñ vo lucknow ki jahāñ
sharāfatoñ kā asāsa takallufāt meñ thā