Hayat Lakhnavi

kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara

Hayat Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1931-2006
kab qābil-e-taqlīd hai kirdār hamārā
har lamha guzartā hai ḳhatāvār hamārā
marnā bhī jo chāheñ to vo marne nahīñ degā
jiinā bhī kiye rahtā hai dushvār hamārā
achchhā hai udhar kuchh nazar aatā nahīñ ham ko
jo kuchh bhī hai vo sab pas-e-dīvār hamārā
ik roz to ye fāsla tai kar ke raheñge
hai kab se koī muntazir us paar hamārā
ham ko ye ḳhushī hai ki idhar aa.e to patthar
hai shahr meñ koī to talabgār hamārā
koī to ye tanhā.ī kā ehsās miTā.e
koī to nazar aa.e taraf-dār hamārā
ham ne to 'hayāt' aas lagā.ī hai ḳhudā se
hai us ke sivā kaun madad-gār hamārā
Top Urdushayar.com