suune suune ujḌe ujḌe se gharoñ meñ le chalo
mujh ko mere roz-o-shab ke manzaroñ meñ le chalo
kuchh to apne paas bhī ho zindagī ke vāste
koī to saudā-e-ḳhām apne saroñ meñ le chalo
nā-rasā.ī kā tasavvur kyuuñ uḌānoñ meñ rahe
manziloñ kī dūriyāñ apne paroñ meñ le chalo
shahr kī rañgīniyoñ meñ haiñ kahāñ gunjā.isheñ
zaat kī vīrāniyāñ sab maqbaroñ meñ le chalo
phir tumhāre mābadoñ ko mil ga.e mābūd kuchh
phir hamāre jism murda pattharoñ meñ le chalo
kuchh na kuchh ban jā.egā naqd-o-nazar ke baad vo
mas.ala kuchh bhī na ho dānishvaroñ meñ le chalo
aaj pahlī baar mujh se kyuuñ vo haarā hai 'hayāt'
aaj mujh ko shahr ke bāzīgaroñ meñ le chalo