Hayat Lakhnavi

wahm-o-guman mein bhi kahan ye inqilab tha

Hayat Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1931-2006
vahm-o-gumāñ meñ bhī kahāñ ye inqilāb thā
jo kuchh bhī aaj tak nazar aayā vo ḳhvāb thā
pā-e-murād pā ke vo behāl ho gayā
manzil bahut hasīn thī rasta ḳharāb thā
chehre ko tere dekh ke ḳhāmosh ho gayā
aisā nahīñ savāl tirā lā-javāb thā
us ke paroñ meñ quvvat parvāz thī magar
un mausamoñ kā apnā bhī koī hisāb thā
āñkhoñ meñ zindagī kī tarah aa basā hai vo
merī nazar meñ pahle jo manzar ḳharāb thā
jaise havā kā jhoñkā thā aa kar guzar gayā
vo shaḳhs is ke ba.ad kahāñ dastiyāb thā
saarā kalām us se muanvan huā 'hayāt'
jis kā vajūd ḳhud bhī mukammal kitāb thā
Top Urdushayar.com