ka.ī sitāre yahāñ TūTte bikharte haiñ
sab apnī satha se āḳhir kahāñ ubharte haiñ
na jaane kitne azāboñ meñ mubtilā ham haiñ
isī liye to na.ī aarzū se Darte haiñ
ham ek baar muhayyā na kar sake tujh ko
hazār rañg tirī justujū meñ bharte haiñ
ye jugnuoñ kī chamak raushnī nazar bhar kī
havā meñ uḌte musāfir kahāñ Thaharte haiñ
nafas nafas ke liye silsile talāsh karo
hamesha log yahāñ qurbatoñ pe marte haiñ
maiñ koī bahtā huā be-karāñ samundar huuñ
ik ā.īne meñ hazār ā.īne ubharte haiñ
vo pastiyāñ isī insān kā muqaddar haiñ
bulandiyoñ se farishte jahāñ utarte haiñ
ho apnā qurb mayassar to kuchh batā.eñ bhī
kahāñ kahāñ se tire saath ham guzarte haiñ
'hayāt' kuchh to kaho dostoñ kī mahfil meñ
ġhamoñ kī bhiiḌ meñ apne bhī ġham nikharte haiñ