Hayat Lakhnavi

ye jazba-e-talab to mera mar na jaega

Hayat Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1931-2006
ye jazba-e-talab to mirā mar na jā.egā
tum bhī agar miloge to jī bhar na jā.egā
ye iltijā duā ye tamannā fuzūl hai
sūkhī nadī ke paas samundar na jā.egā
jis zāviye se chāho mirī samt pheñk do
mujh se mile baġhair ye patthar na jā.egā
dam-bhar ke vāste haiñ bahāreñ sameT lo
vīrāniyoñ ko chhoḌ ke manzar na jā.egā
yuuñ ḳhush hai apne ghar kī fazāoñ ko chhoḌ kar
jaise vo zindagī meñ kabhī ghar na jā.egā
us ko bulandiyoñ meñ musalsal uchhāliye
lekin vo apnī satha se uupar na jā.egā
shahr-e-murād mil bhī gayā ab to kyā 'hayāt'
māyūsiyoñ kā dil se kabhī Dar na jā.egā
Top Urdushayar.com