vo bad-duā use samjhe agar duā likkhūñ
ab aise shaḳhs ko maiñ apnā haal kyā likkhūñ
kisī kā zauq-e-samā.at qusūr-vār nahīñ
maiñ kyuuñ na harf-e-tamannā ko be-sadā likkhūñ
ab aate lamhoñ ke āsār ye batāte haiñ
jo vaqt biit gayā us ko hādsa likkhūñ
mujhe ta.alluq-e-ḳhātir ho kyā zamāne se
kisī ke naam bhī ḳhat ho tirā patā likkhūñ
isī ḳhayāl se fikr-e-suḳhan meñ ġhaltāñ huuñ
maiñ chāhtā huuñ ki mazmūñ koī nayā likkhūñ
ye ḳhud-satā.ī ke pahlū ye ehtiyāt 'hayāt'
kabhī to saaf koī apnā vāqi.a likkhūñ