silsila ḳhvāboñ kā sab yūñhī dharā rah jā.egā
ek din bistar pe koī jāgtā rah jā.egā
ek ḳhvāhish dil ko ġhair-ābād kartī jā.egī
ik parinda duur tak uḌtā huā rah jā.egā
chār-sū phailī huī be-chehragī kī dhund meñ
ek din be-aks ho kar aa.ina rah jā.egā
har sadā se bach ke vo ehsās-e-tanhā.ī meñ hai
apne hī dīvār-o-dar meñ gūñjtā rah jā.egā
mudda.ā ham apnā kāġhaz par raqam kar jā.eñge
vaqt ke hāthoñ meñ apnā faislā rah jā.egā
do ghaḌī ke vāste aa kar chale jāoge tum
phir mirī tanhā.iyoñ kā silsilā rah jā.egā
ab diloñ meñ koī gunjā.ish nahīñ miltī 'hayāt'
bas kitāboñ meñ likhkhā harf-e-vafā rah jā.egā