Muhammad Fiaz Hasrat

jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon

Muhammad Fiaz Hasrat

Islamabad, Pakistan

1994
jo maut hai zindagī ke pīchhe to maut ke pīchhe zindagī kyoñ
ġhamī ke pīchhe bhī gar ḳhushī hai ḳhushī ke pīchhe hai phir ġhamī kyoñ
ye nafrateñ ye kudūrateñ kyoñ haiñ aage sīrat se sūrateñ kyoñ
yahāñ haiñ maujūd ab bhī insāñ phir ādamiyat kī bandagī kyoñ
ye uljhaneñ kyoñ ye dard-o-ġham kyoñ ye mushkileñ kyoñ ye Thokareñ kyoñ
milī to haiñ be-shumār chīzeñ phir in ke badle bas ik ḳhushī kyoñ
ye bhī samajhne se huuñ maiñ qāsir ki aadmī kyoñ huā hai bartar
koī batā.e ki aadmī se yahāñ har ik shai hai qīmtī kyoñ
bas ek hī sham.a jal rahī thī huā thā saarā chaman ye raushan
haiñ jal rahī ab hazār sham.eñ chaman meñ hai phir bhī tīrgī kyoñ
har ek hasrat ye jāntā hai milegī mushkil ke baad rāhat
to baad mushkil ke bārhā yaañ paḌā hai mushkil meñ aadmī kyoñ
Top Urdushayar.com