ham ne likhī hai lahū se dāstāñ to kyā huā
is pe hairāñ gar nahīñ kaun-o-makāñ to kyā huā
saath baabā ke khilaune lene ghar se thā chalā
koī e.azāz-e-yatīmī jo de vaañ to kyā huā
log kahte the ki aise ġham meñ ye bhī rote haiñ
jo nahīñ ro.e zamīn-o-āsmāñ to kyā huā
mere baabā merī ammāñ merī aapī ke sivā
hai milā insāf bhī mujh ko yahāñ to kyā huā
chashm-e-girya ashkoñ kā sailāb to ab tham chukā
baad phir haiñ lekin ab dariyā ravāñ to kyā huā
ik zamāna thā ki bol uThte the aksar be-zabāñ
bolne qābil nahīñ ahl-e-zabāñ to kyā huā
merī duniyā meñ lagī jo aag to sab jal gayā
raakh se hasrat hai uTThe bhī dhuāñ to kyā huā