thā mirā sab par bachā kuchh bhī nahīñ
ab mirā mujh meñ rahā kuchh bhī nahīñ
maiñ bhalā kyuuñ kahtā gar miltī ḳhushī
zindagī ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ
umr ḳhidmat ko dī aur is ke evaz
ek hastī ne liyā kuchh bhī nahīñ
yaañ zamīr insān kā mar-khap chukā
aur kahte ho huā kuchh bhī nahīñ
us ke jaane par mujhe aisā lagā
jaise merā ab rahā kuchh bhī nahīñ
dekhiye majnūñ sī hālat ho ga.ī
aur kahte ho sahā kuchh bhī nahīñ
zindagī jī kar bhī ik insān ko
kyuuñ lage us ne jiyā kuchh bhī nahīñ
aadmī se hoge tum insān kab
vaqt hai ab bhī gayā kuchh bhī nahīñ
ḳhātir-e-duniyā nahīñ kyā kuchh kiyā
aur kahte ho kiyā kuchh bhī nahīñ
aah hasrat karte haiñ insāñ gunah
hashr kī jaise sazā kuchh bhī nahīñ