Muhammad Fiaz Hasrat

sunae sach koi to sans bhi aahista leta hun

Muhammad Fiaz Hasrat

Islamabad, Pakistan

1994
sunā.e sach koī to saañs bhī āhista letā huuñ
kahīñ mujh par zarā bhī shak huā to maarā jā.ūñgā
kisī se koī ab kyoñ mere marne kā sabab pūchhe
ye jab tai thā ki maiñ ne sach kahā to maarā jā.ūñgā
uThā ke maiñ qadam bachtā bhī kaise jāntā thā maiñ
mire haq meñ mirā lab bhī hilā to maarā jā.ūñgā
sab aa ke laash par merī ab aañsū kyoñ bahāte ho
kahā to thā ki maiñ haq par rahā to maarā jā.ūñgā
yahāñ āzād to haiñ sab na jaane kyoñ mujhe Dar hai
ki āzādī samajh kar maiñ jiyā to maarā jā.ūñgā
piye jaate haiñ vaañ hasrat lahū insāñ hī insāñ kā
maiñ bhūle se bhī us jānib gayā to maarā jā.ūñgā
Top Urdushayar.com