Muhammad Fiaz Hasrat

sang uske hi safar ho kyunkar

Muhammad Fiaz Hasrat

Islamabad, Pakistan

1994
sañg us ke hī safar ho kyūñkar
ziist pahle sī basar ho kyūñkar
jī jo chāhe hai ki mar jā.ūñ maiñ
raat se pahle sahar ho kyūñkar
ab kahāñ quvvat-e-goyā.ī hai
un kī bātoñ kā asar ho kyūñkar
zindagī ek safar hai sach hai
ho gumāñ koī magar ho kyūñkar
jab jiye koī kisī kī ḳhātir
is ko apnī bhī ḳhabar ho kyūñkar
dil hī pahlū se nikal jaa.e jo
aah hairāñ bhī jigar ho kyūñkar
ruuh sarshār kare vo 'hasrat'
mai-kade par bhī nazar ho kyūñkar
Top Urdushayar.com