phir na kuchh baaqī nishāñ merā rahe
kuchh rahe to bas bayāñ merā rahe
jo jigar ke jalne se uThtā hai ab
ba.ad mere vo dhuāñ merā rahe
koī chārasāz koī ġham-gusār
bas ki aisā rāz-dāñ merā rahe
maiñ jiyūñ jitnā jiyūñ sab ke liye
zindagī kā yuuñ ziyāñ merā rahe
ābiyārī maiñ lahū se kar rahā
bin ḳhizāñ ke bāġhbāñ merā rahe
tum sivā.e maañ ke ghar ke le lo sab
bas vo ḳhālī sā makāñ merā rahe
ye bhī mumkin ho sake 'hasrat' bhalā
tāroñ ke bin āsmāñ merā rahe