āsmānoñ se na utregā sahīfa koī
ai zamīñ DhūñD le ab apnā masīhā koī
phir dar-e-dil pe kisī yaad ne dastak dī hai
phir bahā kar mujhe le jā.egā dariyā koī
ye to mahfil na huī maqtal-e-ehsās huā
aa.ina de ke mujhe le gayā chehra koī
kitne vīrān haiñ yādoñ ke dar-o-bām na pūchh
bhuul kar bhī idhar aayā na parinda koī
maiñ is āseb-zada shahr meñ kis se pūchhūñ
kyuuñ mire pīchhe lagā rahtā hai saayā koī
māñgtā hai mire a.amāl kā har roz hisāb
'kaif' jo mujh meñ rahā kartā hai mujh sā koī