miTtī qadroñ meñ bhī pāband-e-vafā haiñ ham log
kisī chalte hue jogī kī sadā haiñ ham log
manzileñ pāoge ham ḳhāk-nashīnoñ ke tufail
ham ne maanā ki nishān-e-kaf-e-pā haiñ ham log
ahl-e-mai-ḳhāna hameñ dekh ke hañste haiñ to kyā
pīr-e-mai-ḳhāna ko ma.alūm hai kyā haiñ ham log
zindagī qaid kī muddat hai to ye bhī sach hai
apne nā-karda gunāhoñ kī sazā haiñ ham log
jo abhī vaqt ke gumbad meñ hai mahfūz ai 'kaif'
aur palaT kar nahīñ aa.ī vo sadā haiñ ham log