Indr Mohan Mehta Kaif

dil ki rahon se dabe panw guzarne wala

Indr Mohan Mehta Kaif

Lyallpur, Punjab, Pakistan

1924
dil kī rāhoñ se dabe paañv guzarne vaalā
chhoḌ jā.egā koī zaḳhm na bharne vaalā
ab vo sahrā-e-junūñ ḳhaak uḌāne se rahā
ab vo dariyā-e-mohabbat nahīñ bharne vaalā
zabt-e-ġham kar liyā ye bhī to na sochā maiñ ne
ek nashtar sā hai ab dil meñ utarne vaalā
Duub kar paar utarnā hai chaḌhe dariyā se
ek dariyā hī to hai vaqt guzarne vaalā
jaane ab kaun sī manzil meñ hai insāñ kā safar
ye janam lene lagā hai ki hai marne vaalā
be-sabab to nahīñ sahme hue zarroñ kā sukūt
'kaif' ye ḳhaak kā tuuda hai bikharne vaalā
Top Urdushayar.com