kis ko ham-safar samjheñ jo bhī saath chalte haiñ
āshnā se lagte haiñ ajnabī nikalte haiñ
ai mirī sharīk-e-ġham kaash tū samajh saktī
kitne an-bahe aañsū qahqahoñ meñ Dhalte haiñ
raat kī ḳhamoshī meñ jab koī nahīñ hotā
dil se biitī yādoñ ke qāfile nikalte haiñ
tah-ba-tah añdheroñ tak raushnī to phailegī
ek raat kī zid meñ sau charāġh chalte haiñ
manziloñ ke dhoke meñ sāthiyo na ruk jaanā
manziloñ se aage bhī rāste nikalte haiñ