Khalid Sharif

daraKHton se juda hote hue patte agar bolen

Khalid Sharif

Ambala, Haryana, India

1947
daraḳhtoñ se judā hote hue patte agar boleñ
to jaane kitne bhūle-bisre afsānoñ ke dar kholeñ
ikaTThe baiTh kar bāteñ na phir shāyad mayassar hoñ
chalo in āḳhirī lamhoñ meñ jī bhar kar hañseñ boleñ
havā meñ bas ga.ī hai phir kisī ke jism kī ḳhushbū
ḳhayāloñ ke parinde phir kahīñ uḌne ko par tauleñ
jahāñ the muttafiq sab apne begāne Dubone ko
usī sāhil pe aaj apnī anā kī sīpiyāñ roleñ
bhañvar ne jin ko lā pheñkā thā is be-rahm sāhil par
havā.eñ aaj phir un kashtiyoñ ke bādbāñ kholeñ
na koī rokne vaalā na koī Tokne vaalā
akele aa.ine ke sāmne hañs leñ kabhī roleñ
Top Urdushayar.com