zaḳhm risne lagā hai phir shāyad
yaad us ne kiyā hai phir shāyad
siskiyāñ gūñjtī haiñ kānoñ meñ
ghar kisī kā jalā hai phir shāyad
hāsil-e-umr kyā yahī kuchh hai
ye abhī sochnā hai phir shāyad
dar-e-zindāñ pe phir huī dastak
koī dard-āshnā hai phir shāyad
phir parinde uḌe haiñ shāḳhoñ se
ik dhamāka huā hai phir shāyad
muskurāte haiñ dekh dekh ke log
imtihān-e-vafā hai phir shāyad