ruḳhsat huā to baat mirī maan kar gayā
jo us ke paas thā vo mujhe daan kar gayā
bichhḌā kuchh is adā se ki rut hī badal ga.ī
ik shaḳhs saare shahr ko vīrān kar gayā
dilchasp vāqi.a hai ki kal ik aziiz dost
apne mafād par mujhe qurbān kar gayā
kitnī sudhar ga.ī hai judā.ī meñ zindagī
haañ vo jafā se mujh pe to ehsān kar gayā
'ḳhālid' maiñ baat baat pe kahtā thā jis ko jaan
vo shaḳhs āḳhirash mujhe be-jān kar gayā