Khalid Sharif

wo to gaya ab apni ana ko sameT le

Khalid Sharif

Ambala, Haryana, India

1947
vo to gayā ab apnī anā ko sameT le
ai ġham-gusār dast-e-duā ko sameT le
bāloñ meñ apne Daal le ab ḳhāk-e-kū-e-yār
bāñhoñ meñ us galī kī havā ko sameT le
miTTī kī ik lakīr bhī kah degī dāstāñ
chalne kā shauq hai to ridā ko sameT le
in ābloñ kī raushnī bhaTkegī shahr meñ
ai kūcha-gard gardish-e-pā ko sameT le
lafzoñ ko tark kar de ki in ko nahīñ sabāt
āñkhoñ meñ aaj apnī vafā ko sameT le
bas ek chup hī tere laboñ par sajī rahe
bas apne dil meñ sail-e-balā ko sameT le
'ḳhālid' kabhī to tazkira-e-jāñ sunā hameñ
apnī sadā meñ ḳhauf-e-sadā ko sameT le
Top Urdushayar.com