Khalid Sharif

jis ko pa kar hum ye samjhe the ki kuchh khoya nahin

Khalid Sharif

Ambala, Haryana, India

1947
jis ko pā kar ham ye samjhe the ki kuchh khoyā nahīñ
vo jo bachhḌā hai to jaise koī bhī apnā nahīñ
vo abhī shādāb hai jañgal ke phūloñ kī tarah
us ke chehre par ga.e mausam ne kuchh likkhā nahīñ
aaj se ik dūsre ko qatl karnā hai hameñ
tū mirā paikar nahīñ hai maiñ tirā saaya nahīñ
maiñ ne kaise pyāre pyāre log sauñpe the tujhe
ai ġham-e-jāñ ai ġham-e-jāñ ye mirī duniyā nahīñ
maiñ use kaise pukāroñ kis tarah āvāz duuñ
jis ko apnā kah na pā.ūñ aur begāna nahīñ
aa ki pahle ābloñ ke zaḳhm hī taaza kareñ
ai mire zauq-e-safar ab koī bhī sahrā nahīñ
ham-safar bhī thā magar izn-e-shanāsā.ī na thā
vo mire pahlū meñ thā aur maiñ ne pahchānā nahīñ
Top Urdushayar.com