mehrbāñ koī nazar aa.e to samjhūñ tū hai
phuul mahkeñ to ye jānoñ ki tirī ḳhushbū hai
aql taslīm nahīñ kartī pe dil māntā hai
vo koī mo.ajaza hai vahm hai yā jaadū hai
ab tirā zikr kareñge na tujhe yaad kabhī
haañ magar dil ke dhaḌakne pe kise qaabū hai
kuchh mizāj apnā hī begāna huā jaatā hai
varna us shaḳhs kī to narm-ravī kī ḳhū hai
ġham rag-o-pai meñ utartā hai lahū kī sūrat
dard palkoñ pe laraztā huā ik aañsū hai
aaj kuchh rañg digar hai mire ghar kā 'ḳhālid'
sochtā huuñ ye tirī yaad hai yā ḳhud tū hai