use to kho hī chuke phir ḳhayāl kyā us kā
ye fikr kaisī ki phir hogā haal kyā us kā
vo ek shaḳhs jise ḳhud hī chhoḌ baiThe haiñ
ghulāe detā hai dil ko malāl kyā us kā
tumhārī āñkhoñ meñ chhalkīñ nadāmateñ kaise
javāb banñe lagā kyā savāl kyā us kā
vo nafratoñ ke bhañvar meñ bhī muskurā ke milā
ab is se baḌh ke bhalā ho kamāl kyā us kā
use to jaañ se bhī apnī azīz-tar rakhiye
jo zaḳhm ḳhud hī lage indimāl kyā us kā
ab is tarah bhī na yādoñ kī kirchiyāñ chuniye
na thā firāq se behtar visāl kyā us kā
ye soch kar na use phir kabhī mile 'ḳhālid'
ki jaane hogā nadāmat se haal kyā us kā