firāq o vasl se haT kar koī rishta hamārā ho
baġhair us ke bhī shāyad zindagī ham ko gavārā ho
nikal aa.e jo ham ghar se to sau raste nikal aa.e
abas thā sochnā ghar meñ koī ġhaibī ishāra ho
na is Dhab kī bhī zulmat ho ki sab mil kar duā māñgeñ
koī jugnū hī aa nikle na gar koī sitāra ho
ziyāñ kī zad pe duniyā meñ ka.ī log aur bhī hoñge
to phir ai nā-murādī tū mire ġham kā sahārā ho
taqābul kasrat o qillat kā kuchh ma.anī nahīñ rakhtā
añdherā chiir kar nikle agarche ik sharāra ho
purāne ġham tire to juzv-e-jāñ ham ne banā Daale
bisāt-e-dil kī ḳhvāhish hai na.e ġham kā utārā ho
fasīl-e-shahr pe raushan agar hoñ husn kī sham.eñ
to ik ik lafz 'shāhid' raushnī kā isti.āra ho