Siddiq Shahid

kuchh aisi TuT ke shahr-e-junun ki yaad aai

Siddiq Shahid

kuchh aisī TuuT ke shahr-e-junūñ kī yaad aa.ī
duhā.ī dene lagī aaj merī tanhā.ī
gale milī haiñ ka.ī aa ke dilrubā yādeñ
kahīñ ye ho na tirī shakl-e-yād-farmā.ī
kuchh is qadar the saham-nāk hādsāt-e-hayāt
ki tāb-e-dīd na rakhtī thī merī bīnā.ī
siyah kiye haiñ varaq maiñ ne is tavaqqo.a par
kabhī to hogī mire dard kī pazīrā.ī
badan se rog ne kar lī muvāfiqat shāyad
vahī hai zaḳhm mirā aur vahī hai gahrā.ī
ilaaj DhūñDhtā phirtā huuñ dukh ke nagrī meñ
mirī rasā.ī se bāhar huī masīhā.ī
us ik nazar ne mujhe Dher kar diyā 'shāhid'
kisī bhī kaam na aa.ī mirī tavānā.ī
Top Urdushayar.com