Siddiq Shahid

hun kis maqam pe dil mein tere KHabar na lage

Siddiq Shahid

huuñ kis maqām pe dil meñ tire ḳhabar na lage
tire salīqa-e-guftār ko nazar na lage
ghirā huā thā tū kuchh nāgavār logoñ meñ
malāl ye hai ki us vaqt ham ko par na lage
asīr-e-qarya-e-vahshat huuñ ek muddat se
ḳhirad kī raah kisī taur mo'tabar na lage
makāñ vahī hai par us kā makīn kyā uTThā
sahar bhī ho to vo pahlī sī ab sahar na lage
akelī shaam khaḌī thī udaas jañgal meñ
tuyūr bā-ḳhabar o āshnā-shajar na lage
sazā-e-jazba o ehsās-e-jāñ ke saath rahī
vo rog rog hī kyā hai jo umr bhar na lage
bajā hai ḳhvāb-navardī pa ḳhvāb aaise hoñ
khule jo aañkh to apnā hī ghar khañDar na lage
jo bā-kamāloñ kī tauqīr kam kare 'shāhid'
hamāre haath koī aisā bhī hunar na lage
Top Urdushayar.com