Siddiq Shahid

dil ki basti pe kisi dard ka saya bhi nahin

Siddiq Shahid

dil kī bastī pe kisī dard kā saaya bhī nahīñ
aisā vīrānī kā mausam kabhī aayā bhī nahīñ
ham kisī aur hī aalam meñ rahā karte haiñ
ahl-e-duniyā ne jahāñ aake satāyā bhī nahīñ
ham pe is ālam-e-tāza meñ guzartī kyā hai
tum ne pūchhā bhī nahīñ ham ne batāyā bhī nahīñ
kab se huuñ ġharq kisī jhiil kī gahrā.ī meñ
rāz-e-ayyām magar aql ne paayā bhī nahīñ
be-zamīnī kā ye dukh aur zamīñ bhī apnī
bebasī aisī ki nukta ye uThāyā bhī nahīñ
be-jihat uThte hue Thokareñ khāte ye qadam
rāhbar merā mujhe raah pe laayā bhī nahīñ
us ne hamdardī ke paimāñ to bahut bāñdhe the
aa paḌī hai to mirā haath baTāyā bhī nahīñ
dil kī dīvāroñ se lipTī hai kisī shaam kī yaad
jaane vaalā to kabhī lauT ke aayā bhī nahīñ
sard-mehrī ki jigar chhalnī kiye detī hai
us ne yuuñ dekhne meñ haath chhuḌāyā bhī nahīñ
us se ummīd-e-vafā bāñdh rakhī hai 'shāhid'
jis ne ye baar mohabbat kā uThāyā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com