kār-e-mushkil hī kiyā duniyā meñ gar maiñ ne kiyā
par na us be-rahm ke dil meñ guzar maiñ ne kiyā
dil meñ lailā-e-tamannā paañv chhalnī tez dhuup
kis qayāmat kā safar thā jo safar maiñ ne kiyā
terā apnā rāsta thā merā apnā rāsta
is pe bhī ai zindagī tujh ko basar maiñ ne kiyā
muskurā kar us ne jab bāheñ gale meñ Daal diiñ
phir jo us se rañj thā sarf-e-nazar maiñ ne kiyā
zinda the dushman to mujh ko bāzuoñ pe naaz thā
aañkh ko un ke guzar jaane pe tar maiñ ne kiyā
chashm-e-kam se dekhtā thā mujh ko āḳhir ek din
us ke zo.am-e-ḳhām ko zer-o-zabar maiñ ne kiyā
harf us ke qāmat-e-tahsīñ pe sajte hī ga.e
'shāhid' un ko is tarah harf-e-hunar maiñ ne kiyā