shahr sahrā hai ghar bayābāñ hai
dil kisī anjuman kā ḳhvāhāñ hai
mujh se kahtī haiñ vo udaas āñhkeñ
zindagī bhar kī sab thakan yaañ hai
ḳhvāb TuuTe paḌe haiñ sab mere
maiñ huuñ aur hairatoñ kā sāmāñ hai
har masarrat guñdhī huī dukh meñ
arz-e-azdād dasht-e-imkāñ hai
tū samundar kī be-kanārī dekh
us meñ me.ār-e-zarf pinhāñ hai
haiñ ravā saare nā-ravā us ko
ye na.e mausamoñ kā insāñ hai
mar ke pahuñchā to huuñ lab-e-dariyā
ḳhālī ab tishnagī kā dāmāñ hai
sab ne 'shāhid' chune pasand ke phuul
gul-kada phir bhī gul-ba-dāmāñ hai