fuġhān-e-rūh koī kis tarah sunā.e use
ki zaḳhm zaḳhm badan to nazar na aa.e use
na dekhne kī sazā-vār jis ko aañkh huī
koī piyāsā bhalā haath kyā lagā.e use
surūr lazzat-e-hāsil kā kuchh sivā hogā
chalan atā kā agar ḳhusravāna aa.e use
mire lahū meñ utar ā.eñge na.e mausam
chunī hai dil meñ jo dīvār sī vo Dhaa.e use
khulā na us pe kabhī merī aañkh kā manzar
jamī hai aañkh meñ kaa.ī koī dikhā.e use
vo raushnī kā havāla vo rañg-o-bū kā safīr
marī jamāl-pasandī kahīñ se laa.e use
faroġh-e-husn shaguft-e-gul o ram-e-shabnam
fareb kaise ye 'shāhid' koī sujhā.e use