Siddiq Shahid

ye roz o shab ka tasalsul rawan-dawan hi raha

Siddiq Shahid

ye roz o shab kā tasalsul ravāñ-davāñ hī rahā
ye ġham-rasīdoñ kī taqdīr meñ ziyāñ hī rahā
tirī zabāñ thī mire vāste pa dil kahīñ aur
tirī ravish kā ye andāz darmiyāñ hī rahā
uThā.e phirte rahe ham ye dard kī gaThrī
magar ye dard-e-mohabbat ki be-amāñ hī rahā
jab aa.ī raat umañD aa.e yaad ke jugnū
phir us ke ba.ad to ik jashn kā samāñ hī rahā
bahut dinoñ meñ ye taḳhlīq kī phuvār paḌī
maiñ ḳhauf-e-jahl-e-murakkab se be-zabāñ hī rahā
mire lahū meñ bhī utreñ kabhī na.e mausam
ye aarzū rahī merī mirā gumāñ hī rahā
kuchh aaise daur bhī tāham giraft meñ aa.e
ki ye zamīñ rahī baaqī na āsamāñ hī rahā
Top Urdushayar.com