chalte chalte chale aa.e haiñ pareshānī meñ
ḳhvāb to dab chuke is kūche kī vīrānī meñ
toḌ kar paañv paḌe haiñ ki vo himmat na rahī
uḌte bādal the kabhī chāk-girebānī meñ
hijr kī raah meñ chalte rahe girte-paḌte
saath kuchh bhī na liyā be-sar-o-sāmānī meñ
us shahanshāh ko maiñ kaise shahanshāh kahūñ
sarhadeñ TūTtī hoñ jis kī jahāñbānī meñ
pahuñche manzil pe to hāsil thā faqat yās-o-hirās
umr ik biit ga.ī silsila jumbanī meñ
us ke jaane pe ye ehsās huā hai 'shāhid'
vo jazīra thā mirā dukh se bhare paanī meñ