Siddiq Shahid

shauq-e-awara yunhi KHak-basar jaega

Siddiq Shahid

shauq-e-āvāra yūñhī ḳhāk-basar jā.egā
chāñd chupke se kisī ghar meñ utar jā.egā
us kī sohbat bhī hai ik ḳhvāb-sarā meñ rahnā
vo jo chal degā to ye ḳhvāb bikhar jā.egā
vaqt har zaḳhm kā marham hai pa lāzim to nahīñ
zaḳhm jo us ne diyā hai kabhī bhar jā.egā
jins-e-tāza ke ḳharīdār paḌe haiñ har-sū
kaise be-kār mirā harf-e-hunar jā.egā
soch liije ki ye ayyām guzar jā.eñge
matla-e-fikr bahar-taur nikhar jā.egā
nāḳhudā kashtī meñ sūrāḳh kiye jaatā hai
ham bhī Dūbeñge vahīñ aap jidhar jā.egā
shauq-e-dīdār meñ us sarv-e-ravāñ ke 'shāhid'
mausam-e-gul mire āñgan meñ Thahar jā.egā
Top Urdushayar.com