Siddiq Shahid

na dekha jama-e-KHud-raftagi utar ke bhi

Siddiq Shahid

na dekhā jāma-e-ḳhud-raftagī utaar ke bhī
chalī ga.iiñ tirī yādeñ mujhe pukār ke bhī
ye zindagī hai use talḳh tursh honā hai
sa.ūbatoñ ke zarā dekh din guzār ke bhī
habāb-e-zīst na dast-e-qazā se TuuT sakā
hayāt baaqī rahī qabr meñ utaar ke bhī
tire ġhurūr ke hai rū-ba-rū ye ḳhush-shikanī
jhukā ke sar na hue pesh shahryār ke bhī
badī na rokeñ pe nafrat to kar hī lete haiñ
muzāhire haiñ ye kuchh apne iḳhtiyār ke bhī
kabhī gale bhī milo aa ke shāḳh-e-gul kī tarah
adā to kar diye haq ham ne intizār ke bhī
qubūl o rad ke sabhī iḳhtiyār us ke the
magar maiñ ḳhush thā tamannā ko us pe vaar ke bhī
bahār ho to lahū meñ utartī hai 'shāhid'
hameñ to chhū ke na guzre ye din bahār ke bhī
Top Urdushayar.com