Siddiq Shahid

nikal laya hai ghar se KHayal ka kya ho

Siddiq Shahid

nikāl laayā hai ghar se ḳhayāl kā kyā ho
lagā hai zaḳhm to ab indimāl kā kyā ho
le aa.e kūcha-e-dilbar se dil ko samjhā kar
hai be-qarār bahut dekh-bhāl kā kyā ho
luTā ke maazī nazar is sadī pe rakkhī hai
pe naqsha dekhiye tahsīl haal kā kyā ho
abhī zamāna-e-maujūd kī giraft meñ huuñ
maiñ sochtā huuñ ki fikr-e-ma.āl kā kyā ho
thā bāb-e-shauq ki aurāq-e-shab pe likhte rahe
uḌā ke le ga.ī shab to malāl kā kyā ho
ḳhayāl-e-ḳhām ko duniyā apaj samajhtī hai
hamārī dīda-varī ke kamāl kā kyā ho
nigār-e-zīst ko avval bahut hasīñ paayā
ulajh gayā huuñ to ab is vabāl kā kyā ho
jo asl mājrā thā barmalā kahā maiñ ne
phir us ke ba.ad tire ehtimāl kā kyā ho
ḳhayāl rahtā hai 'shāhid' vo tursh-rū hai bahut
vahāñ jo jā.ūñ to vaz-e-savāl kā kyā ho
Top Urdushayar.com