us chashm-e-fusūñ-gar ke paimāne kī bāteñ hoñ
maiḳhāne meñ baiThe haiñ maiḳhāne kī bāteñ hoñ
zulf-o-lab-o-āriz kī jannat meñ pahuñch jaa.eñ
us husn-e-mujassam ke kāshāne kī bāteñ hoñ
lauTī hai sabā hal kar us jān-e-bahārāñ se
armānoñ kī kaliyoñ ke khil jaane kī bāteñ hoñ
phir dukhne lage shāne bār-e-ġham-e-hastī se
phir shāne pe zulfoñ ke lahrāne kī bāteñ hoñ
phir vaqt ke siine kī dhaḌkan na sunā.ī de
phir jaam ke shīshe se Takrāne kī bāteñ hoñ
is daur-e-haqīqat meñ afsāna sahī ulfat
kuchh raat kaTe aao afsāne kī bāteñ hoñ
alfāz se khīñcheñ ham tasvīr-e-lab-e-shīrīñ
zahr-e-ġham duniyā ko pī jaane kī bāteñ hoñ