Manzar Saleem

jis tarah badla hun main badlegi kya

Manzar Saleem

1925-1996
jis tarah badlā huuñ maiñ badlegī kyā
merī bastī mujh ko pahchānegī kyā
zaḳhm-e-sar hai aap apnī dāstān
pattharoñ se zindagī pūchhegī kyā
tīrgī ne masḳh kar diiñ sūrateñ
aane vaalī raushnī dekhegī kyā
zehn meñ rukne nahīñ paate ḳhayāl
jism ke uupar qabā Thahregī kyā
maiñ to jaañ dete hue bhī hañs paḌūñ
talḳhi-e-zahrāb ġham sochegī kyā
dhuup aisī hai ki dariyā suukh jaa.eñ
ḳhuun ke chhīñToñ se rut badlegī kyā
jī rahā huuñ dūsroñ ke jism meñ
maut jiine se mujhe rokegī kyā
Top Urdushayar.com